Mar 18, 2011

Maseehai

Kis qadar udaasi hai...
shor kitna hai barpa..

iss qadar udaasi mey
aisa khat kisay likhoon?...
jisko tu na parh paey
bin parhay samajh jaey....

beykali ye yoon kuch hai
ik fana ka alam hai
urtay phirtay hain kuch gidh
pinjer mey taaffun hai

apni aankh se bach ker
koi kub kahan bhagay?
zer e lub sifarish hai 'qaid se riha kar dou'
haath hai jakar rakha apni aasteeno mey


butt shikan banay phirna
tesha yoon liyey phirna
tum bhi kya masiha ho?
main bhi ik masiha hoon
tum mujhay khatam kar dou
main tumhain riha kar doon ..

aur phir shuru kar dien
apni hee maseehai ...

ab nahi raha jaata ...
yoon nahi jiya jaata...
tum mujhay khatam kardo
main tumhain riha kar doon

aur karain maseehai...

-Zaofishan