Zindigi mey mukam tou bauhat se atay hain magar hum zikr sirf un mukaamaat ka kartay hain jo zindagi ke normal yaa phir usual flow mey nahi chaltay. Aisa hee eik mukaam woh hai jub tumhari zindagi mey sub kuch bauhat hee acha honay lagta hai bilkul kisi alif lailwi daastaan ki tarha aur tum sochtay reh jatay ho, samajh nahi aati ke shukar ada kiya jaey..ghuroor kiya jaey ..khushi se naacha jaey..sadqa-o-khairaat ki jaey..jashan manaya jaey..ya aansoo bahaien jaey? Lekin is sub ke ilawa eik aur izhaar..aik aur rawaiyya..ek aur reaction bhee hota hai : "KHAUFF". Lekin yeh reaction usi shaks se baahir aa sakta hai jisay ARSH ka, BULANDI ka tajurba ho chuka ho aur usi intensity se PASTII ki janib safar ka bhi. Yaani Arsh se farsh tak ki musaafat......Woh musafat jo tumharay andar ke khalandaray ..chaltay koodtay bachay ko iss zor se jaga kar patakhti hai ke apnay tamam khilono ke saath saath uski taangie'n bhi chatakh kar reh jaati hai aur woh bey-saakhiyo ka mohtaaj ho kar reh jata hai.
Arsh se farsh tak ki musaafat bauhat ziada takleef-deh hoti hai.. tumhain torr phorr deti hai..tumhain batati hai ke tum kitnay helpless ho ..kis qadar haqeer ho. Kya asaan hota hai kisi baadshah ke liey faqeer bun ker rehna? Nahi na? . Arsh per baitha shaks apnay aap mey badshah hee tou hota hai , jo farsh per kisi keeray ki tarha patakh diya jaata hai aur phir woh keera apni zaat ke andheyro mey wahdat-ul-wujood ke noor se jugnu bunta hai..yeh waqt uskay kehnay ka nahi hota..yeh waqt hota hai uskay Sun-nay ka ..har woh shaks jisay woh apni badshahat ke daur mey faqeer gardaanta hai..har woh shaks us se bara ho jata hai..aur woh sirf sunta hai , usay irrationally criticize kiya jaata hai ..beybunyaad bataien us se mansoob ki jaati hai..usay moorad-e-ilzaam thehraaya jaata hai , NAHUQ..NAHUQ, aur woh sunta hai ..sirf sunta hai.
Phir waqt aata hai us ke kehnay ka ..us ke FARSH se ARSH tak ke safar ka ..aur woh darta hai ..apnay aap se, apni zaat ke andheyro se..qudrat ki iss meherbaani per samajh nahi paata ke woh suspicious ho yaa khush ho??
Zaofishan
16 feb 2010
10:15 pm.
Feb 16, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment